Monday, 9 July 2012

Rupaiya




Rupaiya

Babul pyare sajan sakha re
Suno meri maiyyaa
Bojh nahi main kisi ke sar ka
Naa majdhar mein naiyyaa
Patwar banoongi, leharon se ladungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupaiya

Kal baba ki ungli thaame chali thi
Kal baba ki lathi bhi bann jaaungi
Amma tere gharonde ki chidiya hoon main
Dana lekar hi ghar waapas aaungi

Jiski fitrat mein hairat samaayi nahi
Jisko daulat se jyada main bhaayi nahi
Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi
Naa kehne ka sunlo muhurat yahi
Akeli chalungi, kismat se milungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho ho ho..
Dil se dil ke taar toh jude nahi
Do rasmon pe daulat ye kaahe bahe
Hum toh pyaar ki khwahish mein rishte bune
Do rishton mein lalach hum kaahe sahe
Kya shaadi ke aage zindagi hi nahi
Jo shaadi hisaabo ki keval hai
Aise saajan ki mujhko zaroorat nahi
Naa kehne ka sunlo muhurat yahi

Subahon si khilungi, ratiya si bharungi
Arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho arey mujhe kya bechega rupaiya
Ho ho ho...


Rupaiya : Lyrics Of Rupaiya Song From 3rd Episode
Of Aamir Khan Show Satyamev Jayate Which Is Based
Upon The Issue Of Dowry System Named Big Fat Indian
Wedding : Marriage Or Marketplace? Rupaiya song is sing
By Sona Mohapatra, Rupaiya Music Composed
By Ram Sampath While Lyrics Written By Swanand Kirkire.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...